Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu
Burai ko dekho toh roko
Hazrath Abu Sayeed Khudri Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Tum Mey se jo shaks koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to woh shaks (zimme se) bari ho gaya, agar us mey itni taqat na ho aur woh zubaan se roke toh woh bari ho gaya , aur agar itni bhi taqat na ho toh woh Dil se bura samjhe toh woh bari ho gaya , ye imaan ka sabse kam darja hai.
Sunan Nasaii, Vol 3, 1310 –Sahih
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Namaz ki Fazilat:
Hazrath Usman Radi Allahu Tala Anhu ne wazoo kiya toh farmaya Mai tumko EK hadees Sunata hon Agar Quran Pak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti toh Mai yeh Hadees tumko na sunata , Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jab bhi koi shaks achi tarah wazoo karta hai aur namaz padhta hai to uske ek Namaz se dusri namaz ke padhne tak ke gunah maaf kar diye jaate hai.
Sahih Bukhari, Vol 1, 153
Sahih Bukhari, Vol 1, 153
SubhanAllah
Namaz ki pabandi kare, namaz ki koi mafi nahi hai. qayamat k din sab se pehle namaz ka hisab hoga jo shaks is mey kamyab hogaya us ki aaqirat b kamyab hogi.
Duaon mey yaad rakhna
No comments:
Post a Comment