Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Friday, 28 October 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Topic:- 
 Deen ki Dawat sahi Daleelon k Saath q zaroori hai:

Bismillahhirrahmanirrahim 

Tamam Insaniyat ko Islam ki Dawat dene ki zaroorat
Allah Rabbul izzat ka farman hai :-
  • Surah Aal-e-Imran
  • Surah no.3
  • Aayat no.110

كُنْتُمْ خَيْرَ اُمَّةٍ اُخْرِجَتْ لِلنَّاسِ تَاْمُرُوْنَ بِالْمَعْرُوْفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَتُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ ۭ وَلَوْ اٰمَنَ اَھْلُ الْكِتٰبِ لَكَانَ خَيْرًا لَّھُمْ ۭمِنْھُمُ الْمُؤْمِنُوْنَ وَ اَكْثَرُھُمُ الْفٰسِقُوْنَ
" Tum behtareen ummat ho jo logon kay liye peda ki gaee ho kay tum nek baaton ka hukum kertay ho aur buri baaton say roktay ho aur Allah Taalaa per eman rakhtay ho agar ehal-e-kitab bhi eman latay to unn kay liye behtar hota unn mein eman walay bhi hain lekin aksar to fasiq hain."
              Islam ki Dawat chahe Musalmano ki islah ho ya ghair muslimo me tableegh me ye authentic references k saath isliye zaroori hai Taake :-
  1.  Dawat me Transparency rahe..
  2. Gumrahi ka koi chance na ho.
  3. Hamko Dawat dene wala shakhs Haq ki dawat deraha hai ya mehez suni sunai bato ko forward kar raha hai yeh b clear hojay.

DALEEL mangne ki zaroorat:Allah ka farman hai :-
  • Surah Baqarah
  • Surah no.2
  • Aayat no.111

وَقَالُوْا لَنْ يَّدْخُلَ الْجَنَّةَ اِلَّا مَنْ كَانَ ھُوْدًا اَوْ نَصٰرٰى ۭ تِلْكَ اَمَانِيُّھُمْ ۭ قُلْ ھَاتُوْا بُرْھَانَكُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِيْنَ
" Yeh kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachay ho to koi daleel to paish karo."
Iss aayat se yeh bhi maloom hua k jo Haq par hoga woh apni bat ki sahi daleel b dega:
            Yad rakhiye bhaiyo aaj ka daur fitno ka daur hai iss daur me kaun disobedient hai hum nahi jaante isliye jab hume koi shakhs khas taur se Deen k bare me koi bat batay to uski verification kar lena chahiye.

Allah ne apni kitab me ye usool dete hue farmaya hai
  • Surah Hujrat
  • Surah no.49
  • Ayat no.6

يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اِنْ جَاۗءَكُمْ فَاسِقٌۢ بِنَبَاٍ فَتَبَيَّنُوْٓا اَنْ تُصِيْبُوْا قَوْمًۢا بِجَــهَالَةٍ فَتُصْبِحُوْا عَلٰي مَا فَعَلْتُمْ نٰدِمِيْنَ
Aey iman walo ! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ki achi tarah tehqeeq kerlia karo:
  
  1. aisa na ho kay nadaani mein kisi qom ko iza phoncha do phir apnay kiye per pasheymani uthao.
  2. Deen k bare me bina daleel bat karne se darna chahiye kahin aesa na ho k unki baat ghalat nikle or woh seedhe jahannum me ja paden


sahi baat pohoch jaane k baad b Haq baat ka inkar karne walo ka anjaam

  • Surah Nisa
  • Surah no.4
  • Ayat no.115

وَمَنْ يُّشَاقِقِ الرَّسُوْلَ مِنْۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ الْهُدٰى وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيْلِ الْمُؤْمِنِيْنَ نُوَلِّهٖ مَا تَوَلّٰى وَنُصْلِهٖ جَهَنَّمَ ۭ وَسَاۗءَتْ مَصِيْرًا

Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat kay wazeh ho janey kay bhi rasool (PBUH) ka khilaf keray aur tamam mominon ki raah chor ker chalay hum ussay udhar hi mutawajja ker den gay jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal den gay woh phonchney ki boht hi buri jagah hai.

Deen ki baat bina refrence jaane bayan karne wala

Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya*
" kisi shaks ke jhoota hone ke liye itna hi kafi hai ke wo har suni sunai bat ko aage bayan karde."
Sahi Muslim, Muqaddama Hadees no. 9
Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya
"jisne mere upar
jhoot bandha usne apna thikana jahannum me bana liya."
Sahi Bukhari hadees no. 108

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Hanste kam aur Rote zyada:

Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Aye Ummat e Muhammad صلى الله عليه وسلم puri kainaat mey Allah Ta'ala se zyada kisi ko ghairat nahi aati jab Allah ka banda yah Allah ki bandi zina ka irtakaab karte hai. Aye Ummat e Muhammad صلى الله عليه وسلم Agar tumhe woh maloom hota jo Mujhe maloom hai toh tum hanste kam aur rote zyada.

Sahih Bukhari Kitab ul Nikah 5221


No comments:

Post a Comment