Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu
Dargah yah qhabrastaan??. Dargah yeh woh jagah hai jahan nek logon ki qhabar banayi jati hai. Aur qhabrastaan jahan musalmaan ko dafnaya jata hai. Ziyarat kin ki karna chahiye Dargah ki yah Qhabrastaan ki. Aaye Sahih Hadees ki roshni mey maloomat karte hai.
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ka Irshaad Mubarak :-
Tum qabron ki ziyarat kiya karo, kyun k qabron ki ziyarat maut ki yaad dilati hai.
Sahih Muslim 2130
Sahih Muslim 2130
Is hadees se yeh baat pata chala ki ziyarat qabron ki karna chahiye kyun k hamari maut aur aaqirat ki yaad dilati hai kya Dargah ki ziyarat karne se humko hamari maut yaad aayegi nahi aayegi kyun k Dargah hum sirf hamari mannatein, duaein karne jate aur sifarish madad k liye jate. Aaye Quran ki roshni mey Iska jawab padhte hai.
- Aur usse badh kar zaalim kaun hoga jo Allah ke alawa kisi aur ko pukare jo qayamat tak nhi uski baat na sune balki unko pukar ne ki khabar tak na ho.
Yeh ayat Saaf Saaf bayan kar rahi hai jo inteqal kar gaye woh kisi ki sifarish yah baat nahi sun sakte.
Qhabar kaisi honi chahiye
- qhabron ko zameen k barabar karne ka huqoom diya gaya.
- Sahih Muslim 2242.
Kya Dargah zameen k barabar hoti hai, zameen se kafi unchi hoti hai. Is talooq se Sahih hadees padhte hai.
- qhabron ko pukhta karne aur us par baithne aur us par imarat banane se mana farmaya.
Kya aurat qhabron ki ziyarat karne ja sakti ?
- kasrat se qabron ki ziyarat karne wali aurton par lanat farmayi hai.
Dargah jane se hamari maut yaad nahi aayegi aur na yeh nek bande hamari sifarish karengey. Jo log yeh aaqeeda rakhte hai nek logon ki qhabar par jane se Allah unki sifarish sunega yeh ghalat aaqeeda hai aur shirk hai. Kyun k Allah ne Surah Baqra mey farmaya Namaz aur sabr k zarye Allah se madad talab karo. Dargah ja kar chadar chadakar naryal phod kar sajda kar k yeh batana chahte ho Allah se badhkar hai yeh nek og Nauzbillah, Allah kisi ka mohtaj nahi hai. Shirk aur Biddat se durr raho Quran aur Sunnat pe amal karo aur apni aaqirat barbad math karo. Jo kuch mangna hai Allah se maango. Sab log Allah k mohtaj hai.
No comments:
Post a Comment