Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Saturday 29 October 2016

 Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Mareez aur Mayyat ke paas jaye toh kya kehna chahiye?.
         Umm Salma Radi Allahu Tala Anha kehti hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Jab tum mareez yah marne wale k paas jao toh bhalai ki baat kaho kyunki jo tum kehte ho farishte us par Ameen kehte hai kaha jab Abu Salma faut hogaye toh Mai Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ki khidmat mey hazeer huwi aur arz ki Aye Allah K Rasool صلى الله عليه وسلم Abu Salma Radi Allahu Tala Anha wafat pa gayi, Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya Tum yeh kalmaat kaho.
Allahum-Magh Fir Li Wa La Hu, Wa-Aa Qeeb Ni Min Hu Oqh Ba Hasanah
Sahih Muslim 919

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Allah bande k khareeb:
Hazrath Abu Huraira Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya ki Allah Ta’ala farmata hai Mai Apne bande k gumaan k sath hon jo Mere mutaliq woh rakhta hai aur Mai us k sath hon jab woh Mujhe yaad kare agar woh Mujhe dil mey yaad karta hai toh Mai b usko Apne dil mey yaad karta hon aur agar Mujhe jamat mey yaad kare toh Mai b use jamat mey yaad karta hon agar woh Mujhse ek balisht qhareeb ho toh Mai ek ghaz us k khareeb hota hon aur agar woh ek ghaz qhareeb hota hai toh Mai use dono haaton k pehlao k barabar qhareeb hota hon aur agar woh Meri taraf chal kar aye toh Mai us ki taraf daud kar ata hon.
Hadees E Qudsi Sahih Bukhari, Vol 9, 502

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ghusul ka sunnat tareeqa
Yeh sunnat tareeqa ghusul ka sab k liye ek jaisa  hai mard aur aurat k liye.
1- Sharamgah dhona.

2 - Dono haath dhona.
3 - Wazoo karna.
4 - Baalon ka masa karna.
5 - 3 chullu yah 3 jug sar par pani daale.
6 - Sare badan par pani bahana.
Ummul Momineen Ayesha Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Jab Janabat ka ghusul farmate toh Aap صلى الله عليه وسلم Apne dono haath dhote phir is tarah wazoo karte jaisa namaz k liye wazoo karte the, phir pani mey ungliyan dakhil farmate the aur unse baalon ki jadon ka khilal karte the phir apne haaton se 3 chullu sar par pani dalte phir tamam badan par pani bahate.
Sahih Bukhari, Vol 1, 248

Maimuna Radi Allahu Tala Anha se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Jab ghusul Janabat kiya toh pehle apni sharamgah ko apne haath se dhoya phir haath ko deewar par ragad kar dhoya phir Namaz ki tarah wazoo kiya aur jab Aap صلى الله عليه وسلم Apne ghusul se farigh huwe toh dono paon dhoye.
Sahih Bukhari, Vol 1, 260

No comments:

Post a Comment