Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Sunday 13 November 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu....

Sunnat ko zinda karte hai aur amal karte hai:-

```Farman Rasool Allah  ```صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi unchi jagah chadte waqt
Allahu Akbar kaho. 
-Bukhari 2994-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi neechi  jagah utarte waqt SubhanAllah
kaho. 
-Bukhari 2994-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jab koi tumhara haal puche toh Alhamdulillah kaho. 
-Tarbani Ausat 4374-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi kaam ka irada yah wada karte waqt In Shaa Allah kaho. 
-Bukhari 5242-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jab koi tum par Ehsaan kare use Jazak Allahu Khair kaho aur jawab mey 
Wa Antum Fajazakumulla Khairan kaho. 
-Tirmidhi 1954-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Nehmath milne par Alhamdulillah kaho. 
-Ibn Majah 3805-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi Musibat yah maut ki khabar sunne par Inna lillahi Wa Inna Iali Rajioon kaho. 
-Muslim 2126-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Apne khareeb marne wale ko
لا اله الا الله محمد رسول الله    padhne ki hidayat de. 
-Muslim 916-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Chink aane par Alhamdulillah kaho aur sunne wala Yar-Ha-Mu-Kal-Lah* kahe.
-Muslim 2992-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi achi cheez dekhne par MashaAllah La Quwwata Illah Billah kaho. 
-Ibn Sunni 207-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ghar mey dakhil hote waqt Bismillah kaho. 
-Muslim 2078-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ghar se nikalte waqt
Bismillahi tawakkaltu Aalal lah la hawla wala quwwata Illah billah kaho.
-Abu Dawood 5095-
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Imaan taza karne k liye لا اله الا الله محمد رسول الله  kaho. 
-Ahmad 8718-
 Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu:

Dunya aur Aaqirat:-
            Abdur Rahman Bin Aban Bin Uthman Bin Affan Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis shaks ko sirf dunya ki fikar ho toh Allah Ta’ala us k kaamo mey pareshani daal dega aur uski muflisi dono aankhon ke darmiyan kar dega aur dunya usko uthni hi milegi jitni uski Taqdeer mey likhi hai aur jo aaqirat ki fikar karega toh Allah Ta’ala us k sare kaam durust kar dega, aur us k dil mey dunya se be-parwahi daal dega aur dunya kisi bhi tarah us k paas aayegi.
Sunan Ibn Majah, vol 3, 986, Sahih

---------------------------------------

Allah ki tasbeeh ungliyan par kiya karo:-
          Hazrath Yusairah Radi Allahu Tala Anha jo muhajirat mey se thi farmati hai k Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ne humse farmaya ki tum log Tasbeeh (SubhanAllah ), Tahleel  (La Ila Ha Illallah), aur Taqdis  (Subhanal Malikil Quddus Ya Subbu Quddus, Rabbuna Wa Rabbul Malaeekatu Wa-Arruh) padhte raho aur in ko ungliyon k poron  (finger tips) par shumar karo isliye ki qayamat k din is se  (ungliyon se) sawal kiya jayega aur woh bolegi, phir ghafil na hojana kyunki isse tum asbab e Rahmat bhool jaogey.
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1506, Hasan

---------------------------------------

Neki ka kehne wala, karne walon k barabar:-
             Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo aadmi logon ko seedhe raaste ki taraf bulata hai toh use bhi uthna hi sawab milta hai jitna us ki baat maan kar us par amal karne walon ko milta hai.
Sahih Muslim 2674

------------------------------------------

Rishtedar tumhare sath burai kare to bhi unke sath acha sulooq karo:-
                 Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم se ek shaks bola Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  mere kuch Rishte wale hai mai unse Ehsaan karta hoon aur woh burai karte hai mai Rishta milata hoon aur woh todte hai mai acha sulooq karta hoon aur woh samajte nahi hai Aap صلى الله عليه وسلم  ne farmaya ki agar haqeeqat mey tu aisa hi karta hai toh tu unke moo par jalti raakh  dalta hai aur hamesha Allah ki taraf se tere sath ek farishta rahega jo tumko un par kamiyab rakhega jab tak tum is haalat par rahega.
Sahih Muslim , Vol 6, 6525

Thursday 10 November 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

                Hum Imaan wale hone k bawajood mushrik ban jate hai . Quran aur hadees ko inkar karne wale kafer aur shak karne wale munafiq. Yeh padh kar khud decide karle k hum musalman hai yah kafer yah munafiq
     Must Read
Taweez, dhaga, doree, kadey Pahenna shirk hai

Shirk do kisam ki hai:
1 - Shirk e Akbar
2- Shirk e Asghar

1- Shirk e Akbar :-
           Allah k sath kisi ko shareek karna, Allah k alawa dusron ko hajat puri karne wala aur musibatein durr karne wala maan kar ghair ullah se magna, ghair ullah k liye qurbani dena, ghair ullah k liye ibadat karna shirk e Akbar hai.   Woh shirk jo insaan ko islam se kharij kar deta hai aur uska murtakib bina tauba k mar jaye toh hamesha jahannam mey rahega.
Irshaad E Bari Tala

        Beshak Allah nahi bakshega ki Us k Sath shirk kiya jaye aur baksh dega jo is k alawa hoga jise Woh chahe. Aur jo koi Allah k sath shirk kare toh woh gumrahi mey bahut durr nikal gaya. 
Surah Nisa 116.

       Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ne farmaya sab se bada gunah yeh hai ki tum  Allah k sath kisi ko shareek karo, halan ki Usne tujh ko paida kiya. 
Sahih Bukhari 4477,     Sahih Muslim 86

Irshaad E Bari Tala:
           Jo Bhi Allah k sath shirk kare Allah ne us par jannat ko haram karar diya hai aur uska thikhana aag hai aur in zalimo k liye koi madadgar nahi.
Surah Al Maida 72.

             Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo koi is haal mey mare ki woh Allah ke siwa kisi aur ko pukarta ho toh woh jahannam mey dakhil hoga. 
Sahih Bukhari 4497,    Sahih Muslim 92.

2 - Shirk e Asghar :-
             Woh amal jo Allah k siwa kisi cheezon par yaqeen kare aur bharosa kare ki falan falan cheez aur taweez  pahenne se shifa milegi, nazar nahi lagegi, musibatein durr hogi, karobar mey Barkat hogi aur b bahut kuch aise amal hai jis pe yaqeen karna shirk e Asghar kehte hai. Yeh shirk e Asghar shirk e Akbar tak le jata hai.
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya beshak Mujh ko tumhare bare mey sab se zyada shirk asghar k paye jane ka khauf hai. Sahaba ne pucha Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم shirk e Asghar kya hai ? Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya "Riya".
Musnad Ahmad Sahih.

Taweez ki haqeeqat.           Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis ne taweez latkai us ne shirk kiya.
 
Musnad Ahmad 4/156 
Mustadrak Al Haakim 7513.

Kadey  ki haqeeqat:
          Hazrath Abdullah Bin Aakim Radi Allahu Tala Anhu farmate hai k Rasool Allah
صلى الله عليه وسلم ne ek aadmi ke haath mey pittal ka bana huwa Kadaa dekha toh daryaft kiya yeh kya hai ? Usne jawab diya yeh kamzori se bachne k liye hai. Toh Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya ise utar kar phek do isliye ke yeh kamzori hi mey Izafa karega aur is se pahne huwe teri wafat ho gayi toh tu kabhi kamyab nahi ho sakta.
Musnad Ahmad Sahih.

Dhaga aur doree.           Hazrath Huzaifah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ek shakhs k haath par ek dhaga dekha jo woh Bukhar ki wajah se pahena tha toh use kaat kar phek diya aur quran ki yeh ayat tilawat farmayi
Zyadtar log Allah k upper Imaan lane k bawajood mushrik hai.
Surah Yousuf 106.
Ibne Abu Hatim, Kitab ul Tauheed Safa 38.

             Hazrath Abdullah Ibn Masood Radi Allahu Tala Anhu ne farmaya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya taweez, jhar phoonk sab hi shirk hai. Yeh sun k Hazrath zainab Radi Allahu Tala Anha ne kaha Aap yeh kya keh rahe ho ? Allah ki qasam! Meri aankh ki beemari k waqt mai ek yahoodi k paas jati thi aur woh mujhe taweez deti thi aur us se meri beemari durr hojati thi. Tab Abdullah Radi Allahu Tala Anhu ne bataya woh toh Shaitaani amal tha. Haqeeqat shaitaan apne haath se tumhare aankh ko daba k rakhta tha jab yahoodi tumhe taweez pahenne ko dete tab shaitaan woh kaam chod deta. Beshak tum wohi bayan karo jo Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya.

Allahumma Rabbin Nas Azabal  Ba'asa Asfi Anta Shafi La Shafi Illa Anta Shafi La Yugadiru Sakma.
Tarjuma :- Ya Allah sare Alam ka Rab taqleef durr karne wala shifa ata farma sirf Tu hi Shifa dene wala hai Tere baghair koi shifa dene wala nahi hai aisi shifa ata kar beemari ek dam hi na rahe. 
Sunan Abu Dawood, vol 3, 485.

          Taweez, dhagey, doree pahen kar ibadat karne se ibadat qubool nahi hogi. Aur jo log yeh kehte hai taweez, dhagey, kadey, doree pahenne se faide hote hai un k liye Allah ne farmaya, Aur log Aap se sharab aur juvva (gambling) ke bare mey puchte hai Aap keh dijiye un dono mey bada gunah hai aur logon k liye bada faida bhi lekin unka gunah unke faide se badh kar hai. 
Surah Al Baqarah 219
Allah ki zaat pe bharosa rakhe, Allah k siwa kisi aur pe yaqeen na kare. Allah hum sab ko shirk e Akbar aur shirk e Asghar se mehfooz rakhe. 
Ameen.......
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Bura Shaks:
          Hazrath Ibn Abbas Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya kya Mai tumko aisa shaks na bataon jo Allah k nazdeek sabse bura insaan hai humne arz kiya Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ji haan bataye, Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya aisa aadmi jis se Allah Ta’ala k naam ka wasta dekar sawal kiya jaye (yani us se kuch manga jaye) phir bhi woh na de.

Sunan Nasai, jild 2, 480

--------------------

Wazoo, Namaz, Quran:
                  Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya mukammil wazoo karna nisf Imaan hai, Alhamdulillah meezan ko sawab se bhar deta hai, aur SubhanAllah Allahu Akbar aasman aur zameen ko sawab se bhar deta hai, Namaz noor hai, aur Zakat burhaan (daleel) hai aur sabr dil ki roshni hai aur quran daleel wa hajat hai, har shaks subha karta hai toh woh apne nafs ko bechne wala hota hai phir woh yah toh use Jahannam se azad kara leta hai yah halak kar deta hai.
Sunan Ibn Majah 280

-------------------

Tauba mey jaldi kijiye
Irshaad E Bari Ta'ala:
                  Allah ne sirf inhi logon ki tauba qubool karne ka wada farmaya hai jo nadani k ba'aas burai kar baithe phir jaldi tauba karle Chunache Allah Ta’ala aise logon par Apni Rehmat k sath rujoo farmayega aur Allah sari baaton ki khabar rakhne wala aur Haqeem wala hai aur aise logon ki tauba qubool nahi hoti jo gunah karte chale jaye yahan tak ki un mey se kisi k samne maut aajaye toh us waqt kahe ki mai ab tauba karta hon aur na hi aise logon k liye maafi hai jo kufr ki halat par mare, un k liye hum ne dardnak azab tayyar rakha hai.
Surah Al Nisaa ayat  17-18

--------------------


Monday 7 November 2016


 بِسمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ.
اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَتُهُ.

:Quam-e-Aad aur Quam-e-Samud par Azaab-e-ilaahi
          Al Quran: Aur Aad inko nihayat tez aandhi se tahas nahas kar diya,ALLAH ne usko 7 raat aur 8 din lagatar un par chalaye rakha, ( agar tum us waqt mojud hote) to us qaum ko aisa gira hua (mara hua)dekhte jaise khajuron ke khokhle taney hain
 Al Quran , Surah Haqqa (69), 6-7

        Al Quran : Sach much hone wali ( yani qayamat) , wo sach much hone wali kya hai , aur tumko kya malum ki wo sach much hone wali (Qayamat) kya hai ,Qaum e Samud aur aad ne us khadkhade wali (Qayamat) ko jhoothlaya tha ,to samud ko sakht haibatnak cheekh se halaq kar diya gayaAur qaum e aad ko sakht aandhi se halaq kar diya gaya
Surah Haqqa (69) Verse 1-6
              
  •  Quam-e-Aad 
      Par Allah Subhanahuta'aala ka Azaab 7 Raat aur 8 din tak lagatar aata raha.
  •  Quam-e-Aad woh na-farmaan Quam thee jisko Allah Subhanahuta'aala ne shirak karane kee wajah se tez Aandhi se Halak Kar diya tha.
  •  Quam-e-Samud woh na-farmaan Quam thee jisane Qyamat ko jhootlaya tha to unko sakhat haibatnak cheekh se halak Kar diya gaya.


------------------------------

Allah ki Mohabbat ka Elaan:
                Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala  Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  ne farmaya jab Allah Ta’ala  kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraeel Alai Salam ko awaz deta hai aur kehta hai ki Allah Ta’ala  falah bande se Mohabbbat karta hai tum bhi us se Mohabbat karo, Jibraeel Alai Salam bhi us se Mohabbat karne lagte hai phir wo tamaam aasman walon ko awaz dete hai ki Allah Ta’ala falah bande se Mohabbat karta hai tum bhi us se Mohabbat karo phir tamam aasman wale us se Mohabbat karne lagte hain uske baad wo zameen mey bhi Maqbool aur Mehboob ban jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040
SubhanAllah
Ya Allah Azwajal hum sab ko Teri Mohabbat ata farma Mere Allah . Ameen

------------------------------------

Hazrath Ibn Umar Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis ne 12 saal azaan di us k liye jannat wajeeb hogayi.Ibn Majah 728

Saturday 5 November 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Namaz Awwal Waqt mey padhna afzal hai:

       Ummul Momineen Syeda Ayesha Radi Allahu Tala Anha farmati hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne koi namaz us k akhri waqt mey nahi padhi yahan tak ki Allah ne Aap صلى الله عليه وسلم ko wafat de di.

Mastadrak Al Hakim 682
Waqt pe Namaz ada kare, namaz na chode, namaz ki koi mafi nahi hai.

-----------------------------

Maut ko zubah kiya jayega
       Hazrath Ibn Umar Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  ne farmaya jab Ahle Jannat, jJannat mey chale jayengey aur jab Ahle Dozakh, Dozakh mey chale jayenagey  to Maut ko laya jayega aur use Jannat aur Dozakh ke darmiyan rakh kar Zubah kar diya jayega phir ek awaz dene wala awaz dega ki Aye jannat walon tumhe ab Maut nahi aayegi aur aye Dozakh walon tumhe bhi ab Maut nahi aayegi is baat se jannati aur ziyada khush ho jayengey aur Jahannami aur ziyada gamgeen ho jayengey.

Sahih Bukhari, Vol8, 6548
Namaz ki pabandi kare. Allah hum sab ko jannat mey unchan muqaam ata farmaye. Ameen
----------------------------------------

Musibat bhi nehmath ban sakti hai
       Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Agar musalman apni kisi Musibat k waqt Allah k huqoom k mutabiq Inna lillahi Wa Inna Iali Rajioon padh kar kahe
 
Allahumma Jur-Ni Fee Musibati Wa-Aak-Lif Li Khairan MinHa
(Aye Allah mujhe us Musibat ka ajar de aur us ka behtareen badla ata farma) toh Allah Ta’ala us ko us se bhi behtareen cheez ata farmata hai.
Sahih Muslim 918

Friday 4 November 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu


Ahle Biddati ko Quran aur Sunnat ( Sahih Hadees ) ki roshni mey jawab

             Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم se ne farmaya ki Allah Ta’ala  farmata hai Jisne Mere kisi Wali se Dushmani ki usse Meri taraf se elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (un mey se) koi Ibaadat Mujhko us sey ziyada pasand nahi hai jo Maine us par farz ki hai (jaise Namaz,Roza , Hajj, Zakaat..)Aur Mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte huwe Mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki Mai us se Mohabbat karne lag jata hon phir jab Mai us se Mohabbat karne lag jata hu to Mai uska Kaan (ear) ban jata hon jis se woh sunta hai, uski Aankh ban jata hon jis se wo dekhta hai , uska haath ban jata hon jis se woh pakadta hai ,uska paon (leg) ban jata hon jis se woh chalta hai. Aur agar Mujhse maangta hai to Mai use deta hon, agar wo kisi Dushman yah shaitaan se Meri panah ka talib hota hai to Mai  use Mehfooz rakhta hon aur Mai jo kaam karna chahta hon  us mey Mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki Mujhe Apne momeen bande ki Jaan nikalne mey hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur Mujhe bhi usko takleef dena Acha nahi lagta.
Sahih Bukhari 6502
.➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      Allah ne farmaya Aye  Muhammad صلى الله عليه وسلم  Jab mera banda Mere  bare mey Aap se puche toh Aap keh dijiye  ke Mai (Apne bando se) bahut hi qhareeb hon har pukarne wale ki pukar ko jab kabhi woh Mujhe pukare qubool karta hon is liye logon ko bhi chahiye k woh Meri baat maan liya kare aur Mujh par Imaan rakhe yehi un ki bhalai ka zarya  hai.
Surah Baqara ayat 186
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        Tumhare dost nahi magar Allah , Us ka Rasool aur Imaan wale, ke Namaz qayam karte hai aur Zakat ada karte hai aur Allah ke huzoor jhuke huwe hai (yani Allah k samne sajda karte hai). Surah Maida ayat 55
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
            Nabi ki dono Biwiyan agar Tum Allah ki taraf rujoo karo toh,Zaroor Tumhare dil rah se hathh gaye hai, aur agar un par zoor bandho toh beshak Allah unka madadgar hai aur Jibraeel aur Imaan wale aur us k baad farishte madad par hai. Surah Tahreem ayat 4
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

          Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم  ne farmaya jab tum muazzin ko suno to usi tarah kaho jis tarah wo kehta hai (matlab Azaan ke jo alfaz woh kahe wahi alfaaz aap kahe) phir Mujh par Darood pardo,is liye k jo Mujh par ek baar Darood pardta hai Allah us par 10 Rehmat naazil karta hai..phir Mere liye Allah se waseela maango,beshak Waseela Jannat me Ek Darja (muqaam) hai jo Allah ke sirf Ek hi bande ke layaq hai aur Mujhe umeed hai k wo Banda Main hn,toh jisne Mere liye Waseela talab kiya uske liye (Meri) shifaa’at halaal (jayaz) ho gayi.
Muslim,Hadees number 384