Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Tuesday 1 November 2016

 Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu...


     Fazilat E Quran:

Irshaad ENabi E Kareem صلى الله عليه وسلم
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖         
   Surah Fateha:
Jo b Surah Fateha aur Surah Baqarah ki akhri do ayat padh kar Allah se sawal karega usko woh ata kiya jayega.
Sunan Nasaii 912
Sahih Targhib Wa Al Tarheeb 1456

Surah Fateha bhi  Ruqayya yani ilaj k liye padha jata hai.
Sahih Muslim 5458
Sahih Bukhari 529

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
        Surah Baqarah:

Jo koi b Surah sone se pehle Surah  Baqarah ki akhri 2 ayatein padh kar soyega us k liye kafi hai.
Sahih Bukhari 1017

Surah Baqarah padha karo yeh ek aisi nehmath hai gham ka Sabab hai aur jadoo ka asar na hoga.
Sahih Muslim 1757

Apne gharon ko qhabrastaan math banao, Shaitaan us ghar se bhagta hai jis ghar mey Surah Baqarah ki tilawat ki jati ho.
Sahih Muslim 1018
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      Ayat Al Kursi:
Jo koi farz namazon k baad Ayat Al Kursi padhega us k aur jannat k darmiyan sirf maut hogi.
Sunan Nasaii Sahih Al Jami 6464
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      Surah Imran:

Quran ki tilawat karte raho q k qayamat k din Surah Baqarah aur Surah Imran apne padhne wale k haq mey Allah se sifarish karegi.
Sahih Muslim 1757
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     Surah Al Israa:

Ummul Momineen Ayesha Radi Allahu Tala Anha farmati hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم sone se pehle Az-Zumar aur Bani Israeel yani Surah Israa padh kar sote the.
Jamia Tirmidhi Al Silsilah Sahiyhah 641
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     Surah Kahf:
Jo koi b Surah Kahf ki shuru 10 ayatein aur akhri 10 ayatein  yaad karega woh dajjal k Fitno se mehfooz rahega.
Sahih Muslim Al - Silsilah Al-Sahiyah 582

Jisne Jummah ki raat Surah Kahf padhega us k aur Kabaa k darmiyan ek roshini hogi.
Sahih Al Targhib Wa Al Tarheeb 736

Jisne b jummah  k din Surah Kahf ki tilawat karega Us k liye ek noorani ujala hoga dusre jummah tak.
Sahih Al Targhib Wa Al Tarheeb 736
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
     Surah Yaseen:

Jisne subha k waqt Surah Yaseen ki tilawat karega us k liye Shaam tak kaam mey  aasani hogi aur jis ne raat mey Surah Yaseen ki tilawat karega us k liye subha tak kaam mey asani hogi.
Sunan Ad Darami 1/457, 3422 Sahih
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Surah Mulk and Surah Sajda:
Jis ne b rozana raat ko Surah Mulk tilawat karega Allah usko qhabar k azab se mehfooz rakhega aur usko maaf farma dega.
Jamia Tirmidhi 2891,Abu Dawood 1400, Sahih Al Targhib Wa Al Tarheeb 1475

Aap صلى الله عليه وسلم sone se pehle Surah Mulk aur Surah Sajda tilawat kar k soya karte the.
Jamia Tirmidhi 2892, Masnad Ahmad 1/4249
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  Surah Kafiroon:
Sone se pehle Surah Kafiroon padh kar soya karo yeh shirk se mehfooz rakhega.
Jamia Tirmidhi Al - Silsilah Al-Sahiyah 2709

Surah Kafiroon 1/4 k barabar hai.
Al - Silsilah Al-Sahiyah 586
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Surah Ikhlaas:
Surah Ikhlaas 1/3 k barabar hai.
Sahih Bukhari, Sahih Muslim, Al Tarheeb 1480

Surah Ikhlaas se Mohabbat (tilawat) rakhna jannat mey dakhil karega.
Jamia Tirmidhi 2826

Jis ne Surah Ikhlaas 10 martaba padhega Allah us k liye jannat mey mahal banayega.
Al - Silsilah Al-Sahiyah 589
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Surah Falaq and Surah Naas:

Kya Mai tumko sab se behtareen panah mangne ka tareeqa na batao Sahab ne kaha Zaroor bataye. Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya Surah Falaq aur Surah Naas padha karo.
Al - Silsilah Al-Sahiyah 1104

Surah Ikhlaas Surah Falaqaur Surah Naas Subha aur Shaam 3 martaba padha karo yeh har cheez  se mehfooz rakhegi.
Jamia Tirmidhi Saheeha 2829

Har Namaz k baad Surah Ikhlaas Surah Falaq aur Surah Naas padha karo.
Al - Silsilah Al-Sahiyah 645

No comments:

Post a Comment