Assalamualaikum warahamatullahi wabarkahuhu
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ_
ﺍﻟﺴَّﻼَﻡُ ﻋَﻠَﻴـْﻜُﻢ ﻭَﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ
Sahih jawab:
C
Ye wajib hai
Daleel:
Kya Dadhi Rakhna Zaruri Hai?
"DADHI KI SHARAI HAISIYAT"
- Hamare muashre me aksar log "Dadhi" rakhna gair zaruri samajhte hain jabki haqiqat yeh hai ki DADHI rakhna sirf *sunnat hi nahi balki "Wajib" hai*. kyunki iske bare me Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne khas taur par hukm diya hai.
*ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM-*
"Mushrikeen ki mukhalfat karo, dadhi badhao aur moonche katarwao"
( Bukhari-5892, 5893)
( Bukhari-5892, 5893)
"Abdullah ibn Umar raziAllahu anhu bayan karte hain- "Rasoolullah sallallahu alaihi wa sallam ne Mooncho ke khoob katarne aur dadhi badhane ka hukm diya hai"
( Abu Dawud-4199, Muslim-259, Tirmizi-2764, Mishkatul Masabih-4421)
( Abu Dawud-4199, Muslim-259, Tirmizi-2764, Mishkatul Masabih-4421)
AB AAIYE HUM YEH DEKH LETE HAIN KI *"QURAN"* RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KE HUKM KE MUTALLIQ KYA KEHTA HAI...._???
Allah tala ne irshad farmaya-
ؕ وَ مَاۤ اٰتٰىکُمُ الرَّسُوۡلُ فَخُذُوۡہُ وَ مَا نَہٰىکُمۡ عَنۡہُ فَانۡتَہُوۡا ۚ وَ اتَّقُوا اللّٰہَ ؕ اِنَّ اللّٰہَ شَدِیۡدُ الۡعِقَابِ.
*"Aur jo (hukm) Rasool tumhe den wo le lo, aur jis bat se mana karen usse ruk jao, Aur Allah se daro, Beshak Allah sakht azab dene wala hai"*
( Surah Hashr 59, Ayat No-7)
( Surah Hashr 59, Ayat No-7)
- Is ayat par agar gaur kiya jaye to hamhe pata chalta hai ki Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke hukmo ko manna asal me Allah taala ke hukm ko manna hai.
Ek aur jagah Allah tala ne irshad farmaya-
مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہ
*"Jisne Rasool ki farmabardari ki usne Allah ki farmabardari ki"* ( Surah Nisa 4, Ayat No-90)
{ Yani jisne Rasool (Sallallahu alaihi wa sallam) ke hukm ko mana usne Allah ke hukm ko mana. ab chunki DADHI badhane ka hukm Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne diya hai isliye DADHI rakhne me na sirf Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ki farmabardari hai balki Allah taala ki farmabardari hai.
DADHI rakhne me na sirf Hadis par amal karna hua balki Quran par amal karna hua.
ab itna jaan lene ke bad bhi jo log Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke hukm ki mukhalifat kare, Apka kaha na mane ya apni aqal ko apni ray ko, muashre ko ya duniya walo ko apke hukm se zyada tarjih de to aise logo ko Allah se darte rehna chahiye ki kahin koi azab un par na aa jaye kyunki Allah taala ne irshad farmaya-
DADHI rakhne me na sirf Hadis par amal karna hua balki Quran par amal karna hua.
ab itna jaan lene ke bad bhi jo log Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke hukm ki mukhalifat kare, Apka kaha na mane ya apni aqal ko apni ray ko, muashre ko ya duniya walo ko apke hukm se zyada tarjih de to aise logo ko Allah se darte rehna chahiye ki kahin koi azab un par na aa jaye kyunki Allah taala ne irshad farmaya-
فَلۡیَحۡذَرِ الَّذِیۡنَ یُخَالِفُوۡنَ عَنۡ اَمۡرِہٖۤ اَنۡ تُصِیۡبَہُمۡ فِتۡنَۃٌ اَوۡ یُصِیۡبَہُمۡ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ
*"jo log Rasool SaW ke hukm ki mukhalifat karte hain unhe darna chahiye ki kahin un par koi zabardast afat na aa pade ya unhe dardnak azab na pahunche"*
( Surah Noor 24, Ayat No-63)
( Surah Noor 24, Ayat No-63)
No comments:
Post a Comment