Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Sunday, 23 October 2016


Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu


Jannat mey mard ko hoor milegi toh aurat ko kya milega.?


Aurat ko jannat mey uska shohar milega agar woh jannati ho toh warna Allah usko uski marzi se jo mard chahegi woh dega. Aur bahut sare nehmaton se nawazega. haiz nifas gussa, hasad waghera se paak hogi. Aur hamesha kunwari ladki ki tarah rahegi. Aur khub Seerat Khubsoorat rahegi.
  
Irshaad E Bari Tala:
Dakhil hojao jannat mey tum aur tumhari Biwiyan ,jannat mey tumhe khush kar diya jayega.
  Surah Zukhruf:
Aur Aye Nabi jo log is kitaab par Imaan laye aur nek amal kare Unhe khush-khabri de do k un k liye aise bagh hai jinke neeche nehre behti hongi, jab bhi un mey se koi phal Unhe khane ko diya jayega toh woh kahengey  yeh toh wahi hai jo is se pehle humko dunya mey diya jata tha un k liye Pakeeza Biwiyan hongi aur woh wahan hamesha rahengey.

Surah Al Baqra 25:
Aur jin logon ne hamari ayat ko maan liya aur nek amal kiye, unko Hum aise bhagon mey dakhil karengey jinke neeche nehre behti hongi jahan woh hamesha rahengey aur unko *Pakeeza Biwiyan* milegi aur Unhe hum ghani chaon mey rakhengey.

Surah Al Nisa 25:
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Allah Ta’ala Ne Apne bando k liye woh sab kuch tayyar kar rakha hai jise unki aankho ne nahi dekha hai na unke kaano ne suna hai aur na kisi insaan k dil mey uska khayal guzra hai.

Sahih Al Bukhari 4779
Ahle Jannat ki Biwiyon ko hum naye sirey se paida karengey aur Unhe ba-khura bana dengey Apne shohar se Mohabbat karne wali aur unki hum-umar. Yeh sab kuch daine haath  (right hand) walon k liye hoga.

Surah Waqia
Jannat mey Ahel Jannat k liye khubseerat aur Khubsoorat Biwiyan hongi. Aur aye jins aur ins tum Apne Rab ki kin kin naimaton ko jhutlaogey.

Surah Rahman:
Hazrath Anas Radi Allahu Tala Anhu kehte hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Allah ki rah mey nikalna pehle pehar yah Peechle pehar dunya aur dunya mey jo kuch hai us sab se behtar hai aur agar jannati auraton mey se ek aurat dunya mey lamha bar k liye jhank le toh mashreeq wa magreeb k darmiyan har cheez ko roshan karde aur fiza ko khusboo se bhar de, jannati aurat k sar ka dupatta dunya aur jo kuch dunya mey hai sab se behtar hai.

Mishkatul Masaabih Baab Sifatul Jannah:
Hazrath Umme Salma Radi Allahu Tala Anhu kehti hai Maine arz kiya Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Hum mey se baaz auratein dunya mey do teen char shohron se nikah karti hai aur marne k baad jannat mey dakhil ho jati hai woh sare Mard bhi jannat mey chale jate hai toh phir un mey se kaunsa mard uska shohar banega ? Aap صلى الله عليه وسلم ne Irshaad farmaya Aye Umme Salma woh aurat un mardo mey se kisi ek ka intekhab karegi aur woh yaqeenan ache Aklaaq wale ko pasand karegi aurat Allah Ta’ala se guzarish karegi Aye mere Rab yeh mard dunya mey mere sath sab se zyada Aklaaq se pesh aya Lehaza ise mere sath biyaah de aur Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya Aye Umme Salma ache Aklaaq dunya aur aaqirat ki sari Bhalayi par sabqat le jayega.

Nihaya Li Bin kaseer, Fi fitan wal malahim, juz e saani Safa no 387
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jitni badi azmaish uthna bada ajar:

Hazrath Anas Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya azmaish jitni badi hogi, usi hisab se badla bhi bada hoga. Aur Allah Ta’ala kisi qaum ko pasand farma leta hao toh musaib k zarye inhe azmata hai, aur jo musaib mey sabr o raza ka muzahira karta hai toh us k liye Allah ki raza hai. Aur jo narazgi aur bar-hami ka izhaar karta hai us k liye Allah ki narazgi hai.

Sunan Jamia Tirmidhi 2396

No comments:

Post a Comment