Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Monday, 24 October 2016

Today's Topic

Bachon ki Paidaish hone par Sunnat Amal aur Biddat Amal

Sunnat Tareeqa :-
   ➡ Tahneek
       Hazrath Abu Moosa Radi Allahu Tala Anhu kehte hai Maine Apne bete ko Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ke paas le gaya. Aap صلى الله عليه وسلم ne mere bete ka naam Ibrahim rakha aur khajoor ka thoda sa tukda mere bete ke moo mey rakh kar tahneek kiya aur us ke liye Khair barkat ki dua ki aur mujhe apna beta wapas lauta  diya.
Tahneek matlab bache ki Paidaish k baad kuch meethi cheez chakaye.
Sahih Bukhari 5150 & Sahih Muslim 2145
     ➡ Aaqeeqa
      Hazrath Umm Kurz Radi Allahu Tala Anha se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya  (Aqeeqe k liye ) ladke ki taraf se do bakre hai aur ladki ki taraf se ek aur is se koi faraq nai padhta ki woh nar  (male) ho yah mada  (female ).
Abu Dawood vol 2, #1062
          
              Hazrath Samurah Ibn Jundub Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya har ladka apne aqeeqe k badle mey girwi rakha huwa hai, isliye uski taraf se saatwe din qurabni ki jaye aur uska sar mundwaya jaye aur uska naam rakha jaye.
Abu Dawood vol 2, #1065

        Hazrath Salman Bin Amir Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya ladke k liye aqeeqa hai isliye uski taraf se qurabni karo aur uski taqleef durr karo.
Abu Dawood vol 2, #1066
      Bache ka sar mundwa kar baal k wazan barabar sona yah chandi khairat kare yah phir us sone chandi ki keemat ada b kar sakte.
Circumcision:
      Hazrath Abu Huraira Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai 5 cheezein fitra se mutaliq hai khatna karna, Zer Naaf k baal nikalna, baghal k baal nikalna, nakhoon nikalna aur mooche tarashna.
 Sahih Bukhari 5550 &Sahih Muslim 257
    
Biddatein Amal
     Jab maa hamal se hoti hai hamare gharon mey biddati rasme hote hai jaise godh bharani yeh karne se aulad sahet mand hoti aur khushi aati kate. Jab k Allah ne quran mey pyari dua hamare liye nuzool kiya us dua ko chod kar godh bharani karre. Yaad karo jab Imran ki biwi ne arz kiya Aye Mere Rab Tere liye Mannat manti hon jo mere pet mey hai ki khuloos Teri hi kidmath mey rahe toh Tu Mujhse qubool kar le beshak tu hi hai sab kuch sunta aur janta. 
Surah Al Imran
Bache ki Paidaish k baad aur naye naye biddati rasme karte hai pehle 10 mey chetti aur 40 din k baad chilla jab k Aap صلى الله عليه وسلم ne Apni zindegi mey kabhi nahi kiya Apni aulad ki aur na Sahaba ko huqoom diya aise amal karne ka. Woh amal jo deen se talooq nahi rakhti woh sunnat k khilaf aur biddat hai.
   Jo log Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ki mukhalifat karte hai Unhe darte rehna chahiye k kahi un par koi zabardast aafat na aa padhe yah Unhe dardnak azab na pauch jaye.
Surah Noor
Biddatein amal chodo aur sunnat e Rasool ki parwai karo.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tauba se gunah bhi neki ban jayegi

Irshaad E Bari Tala:
      Jo tauba kare aur Imaan laye aur nek kaam kare aise logon k gunaho ko Allah nekiyon se badal deta hai kyunki Allah Ta’ala bakshne wala aur bada hi Meharbaan hai .Aur jo shaks tauba karne k baad nek amal kare toh woh sahi maano mey Allah Ta'ala ki taraf ki taraf sacha rujoo karta hai.

Surah Al Furqaan 70-71

1 comment: