Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu...
Zindegi mey ek bar toh padh liya karo
Salah Tul Tasbee:
Hazrath Ibn Abbas Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Hazrath Abbas Radi Allahu Tala Anhu se farmaya Mere Chacha kya Mai Aap ko ek atiya na karun ? Kya ek hadiya na dun ? Kya ek tohfa pesh na karun ? Kya Mai Aap ko aisa amal na bataon ki jab Aap isko karengey toh Aap ko 10 faide hasil hongey. Yani Allah Ta’ala Aap k agle, pichle, purane, naye, ghalti se kiye huwe, Jaan buj kar kiye huwe, chote , bade, chup kar kiye huwe aur khullam khulla kiye huwe sab gunah maaf farma dega. Woh amal yeh hai ki Aap 4 rakat (Salah Tul Tasbee ) padhe har rakat mey Surah Fateha aur dusri koi surat padhe jab Aap pehli rakat mey qirat se farigh ho jaye toh rukoo se pehle 15 bar yeh padh le
SubhanAllahi Walhamdulillah Wa La ilaha illAllahu Wallahu Akbar Phir rukoo kare aur rukoo mey bhi yehi kalmaat 10 bar padhe, phir rukoo se uth kar qoma mey bhi 10 bar yehi kalmaat padhe, phir sajde mey jaye aur 10 bar yehi kalmaat padhe, phir sajde mey uth kar jalse mey 10 bar yehi kalmaat padhe, phir dusre sajde mey bhi yehi kalmaat padhe, phir dusre sajde k baad bhi khade hone se pehle 10 martaba yehi kalmaat padh le. 4 rakat isi tarah padhe aur isi tarah se har rakat mey yeh kalmaat 75 (15+10+10+10+10 +10) bar kahe. Mere Chacha agar Aap ho sake toh rozana yeh namaz ek martaba padha kare, agar Aap yeh b na kar sako toh Mahine mey ek bar padh liya karo, agar Aap yeh b na kar sako toh saal mey ek bar padh liya karo, agar Aap yeh b na kar sako toh zindegi mey ek bar padh liya karo.

Sunan Abu Dawood, vol 1, 1284 -Sahih-
Sunan Ibn Majah, vol 1, 1387 -Hasan
Sunan Ibn Majah, vol 1, 1387 -Hasan
Jis tarah hum namaz ada karte hai usi tarah ada kare aur kalmaat padhe.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Namaz ki hifazat karo
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya qabron par na baitho aur na qabron ko samne kar k namaz padho.
Jamia Tirmidhi 1050
Sahih Muslim 2121
Jamia Tirmidhi 1050
Sahih Muslim 2121
Mai yeh baat un girls ko kehna chahta hon jo darga jake ziyarat kar k namaz ada karte aisa math karo.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment