Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu
Ahle Biddati ko Quran aur Sunnat ( Sahih Hadees ) ki roshni mey jawab
Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم se ne farmaya ki Allah Ta’ala farmata hai Jisne Mere kisi Wali se Dushmani ki usse Meri taraf se elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (un mey se) koi Ibaadat Mujhko us sey ziyada pasand nahi hai jo Maine us par farz ki hai (jaise Namaz,Roza , Hajj, Zakaat..)Aur Mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte huwe Mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki Mai us se Mohabbat karne lag jata hon phir jab Mai us se Mohabbat karne lag jata hu to Mai uska Kaan (ear) ban jata hon jis se woh sunta hai, uski Aankh ban jata hon jis se wo dekhta hai , uska haath ban jata hon jis se woh pakadta hai ,uska paon (leg) ban jata hon jis se woh chalta hai. Aur agar Mujhse maangta hai to Mai use deta hon, agar wo kisi Dushman yah shaitaan se Meri panah ka talib hota hai to Mai use Mehfooz rakhta hon aur Mai jo kaam karna chahta hon us mey Mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki Mujhe Apne momeen bande ki Jaan nikalne mey hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur Mujhe bhi usko takleef dena Acha nahi lagta.
Sahih Bukhari 6502
.➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Sahih Bukhari 6502
.➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Allah ne farmaya Aye Muhammad صلى الله عليه وسلم Jab mera banda Mere bare mey Aap se puche toh Aap keh dijiye ke Mai (Apne bando se) bahut hi qhareeb hon har pukarne wale ki pukar ko jab kabhi woh Mujhe pukare qubool karta hon is liye logon ko bhi chahiye k woh Meri baat maan liya kare aur Mujh par Imaan rakhe yehi un ki bhalai ka zarya hai.
Surah Baqara ayat 186
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Surah Baqara ayat 186
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Tumhare dost nahi magar Allah , Us ka Rasool aur Imaan wale, ke Namaz qayam karte hai aur Zakat ada karte hai aur Allah ke huzoor jhuke huwe hai (yani Allah k samne sajda karte hai). Surah Maida ayat 55
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Nabi ki dono Biwiyan agar Tum Allah ki taraf rujoo karo toh,Zaroor Tumhare dil rah se hathh gaye hai, aur agar un par zoor bandho toh beshak Allah unka madadgar hai aur Jibraeel aur Imaan wale aur us k baad farishte madad par hai. Surah Tahreem ayat 4
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ne farmaya jab tum muazzin ko suno to usi tarah kaho jis tarah wo kehta hai (matlab Azaan ke jo alfaz woh kahe wahi alfaaz aap kahe) phir Mujh par Darood pardo,is liye k jo Mujh par ek baar Darood pardta hai Allah us par 10 Rehmat naazil karta hai..phir Mere liye Allah se waseela maango,beshak Waseela Jannat me Ek Darja (muqaam) hai jo Allah ke sirf Ek hi bande ke layaq hai aur Mujhe umeed hai k wo Banda Main hn,toh jisne Mere liye Waseela talab kiya uske liye (Meri) shifaa’at halaal (jayaz) ho gayi.
Muslim,Hadees number 384
Muslim,Hadees number 384
No comments:
Post a Comment