Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu
Namaz Awwal Waqt mey padhna afzal hai:
Ummul Momineen Syeda Ayesha Radi Allahu Tala Anha farmati hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne koi namaz us k akhri waqt mey nahi padhi yahan tak ki Allah ne Aap صلى الله عليه وسلم ko wafat de di.
Mastadrak Al Hakim 682
Waqt pe Namaz ada kare, namaz na chode, namaz ki koi mafi nahi hai.
-----------------------------
Maut ko zubah kiya jayega
Hazrath Ibn Umar Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jab Ahle Jannat, jJannat mey chale jayengey aur jab Ahle Dozakh, Dozakh mey chale jayenagey to Maut ko laya jayega aur use Jannat aur Dozakh ke darmiyan rakh kar Zubah kar diya jayega phir ek awaz dene wala awaz dega ki Aye jannat walon tumhe ab Maut nahi aayegi aur aye Dozakh walon tumhe bhi ab Maut nahi aayegi is baat se jannati aur ziyada khush ho jayengey aur Jahannami aur ziyada gamgeen ho jayengey.
Sahih Bukhari, Vol8, 6548
Namaz ki pabandi kare. Allah hum sab ko jannat mey unchan muqaam ata farmaye. Ameen
----------------------------------------
Musibat bhi nehmath ban sakti hai
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya Agar musalman apni kisi Musibat k waqt Allah k huqoom k mutabiq Inna lillahi Wa Inna Iali Rajioon padh kar kahe
Allahumma Jur-Ni Fee Musibati Wa-Aak-Lif Li Khairan MinHa
(Aye Allah mujhe us Musibat ka ajar de aur us ka behtareen badla ata farma) toh Allah Ta’ala us ko us se bhi behtareen cheez ata farmata hai.
Sahih Muslim 918
No comments:
Post a Comment