بِسمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ.
اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَتُهُ.
:Quam-e-Aad aur Quam-e-Samud par Azaab-e-ilaahi
Al Quran: Aur Aad inko nihayat tez aandhi se tahas nahas kar diya,ALLAH ne usko 7 raat aur 8 din lagatar un par chalaye rakha, ( agar tum us waqt mojud hote) to us qaum ko aisa gira hua (mara hua)dekhte jaise khajuron ke khokhle taney hain
Al Quran , Surah Haqqa (69), 6-7
Al Quran : Sach much hone wali ( yani qayamat) , wo sach much hone wali kya hai , aur tumko kya malum ki wo sach much hone wali (Qayamat) kya hai ,Qaum e Samud aur aad ne us khadkhade wali (Qayamat) ko jhoothlaya tha ,to samud ko sakht haibatnak cheekh se halaq kar diya gayaAur qaum e aad ko sakht aandhi se halaq kar diya gaya
Surah Haqqa (69) Verse 1-6
- Quam-e-Aad
- Quam-e-Aad woh na-farmaan Quam thee jisko Allah Subhanahuta'aala ne shirak karane kee wajah se tez Aandhi se Halak Kar diya tha.
- Quam-e-Samud woh na-farmaan Quam thee jisane Qyamat ko jhootlaya tha to unko sakhat haibatnak cheekh se halak Kar diya gaya.
------------------------------
Allah ki Mohabbat ka Elaan:
Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jab Allah Ta’ala kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraeel Alai Salam ko awaz deta hai aur kehta hai ki Allah Ta’ala falah bande se Mohabbbat karta hai tum bhi us se Mohabbat karo, Jibraeel Alai Salam bhi us se Mohabbat karne lagte hai phir wo tamaam aasman walon ko awaz dete hai ki Allah Ta’ala falah bande se Mohabbat karta hai tum bhi us se Mohabbat karo phir tamam aasman wale us se Mohabbat karne lagte hain uske baad wo zameen mey bhi Maqbool aur Mehboob ban jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040
SubhanAllah
Ya Allah Azwajal hum sab ko Teri Mohabbat ata farma Mere Allah . Ameen
------------------------------------
Hazrath Ibn Umar Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis ne 12 saal azaan di us k liye jannat wajeeb hogayi.Ibn Majah 728
awesome website blog keep it up the good work
ReplyDeleteJumma Mubarak