Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Sunday 13 November 2016

 Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu:

Dunya aur Aaqirat:-
            Abdur Rahman Bin Aban Bin Uthman Bin Affan Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis shaks ko sirf dunya ki fikar ho toh Allah Ta’ala us k kaamo mey pareshani daal dega aur uski muflisi dono aankhon ke darmiyan kar dega aur dunya usko uthni hi milegi jitni uski Taqdeer mey likhi hai aur jo aaqirat ki fikar karega toh Allah Ta’ala us k sare kaam durust kar dega, aur us k dil mey dunya se be-parwahi daal dega aur dunya kisi bhi tarah us k paas aayegi.
Sunan Ibn Majah, vol 3, 986, Sahih

---------------------------------------

Allah ki tasbeeh ungliyan par kiya karo:-
          Hazrath Yusairah Radi Allahu Tala Anha jo muhajirat mey se thi farmati hai k Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ne humse farmaya ki tum log Tasbeeh (SubhanAllah ), Tahleel  (La Ila Ha Illallah), aur Taqdis  (Subhanal Malikil Quddus Ya Subbu Quddus, Rabbuna Wa Rabbul Malaeekatu Wa-Arruh) padhte raho aur in ko ungliyon k poron  (finger tips) par shumar karo isliye ki qayamat k din is se  (ungliyon se) sawal kiya jayega aur woh bolegi, phir ghafil na hojana kyunki isse tum asbab e Rahmat bhool jaogey.
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1506, Hasan

---------------------------------------

Neki ka kehne wala, karne walon k barabar:-
             Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo aadmi logon ko seedhe raaste ki taraf bulata hai toh use bhi uthna hi sawab milta hai jitna us ki baat maan kar us par amal karne walon ko milta hai.
Sahih Muslim 2674

------------------------------------------

Rishtedar tumhare sath burai kare to bhi unke sath acha sulooq karo:-
                 Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah صلى الله عليه وسلم se ek shaks bola Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  mere kuch Rishte wale hai mai unse Ehsaan karta hoon aur woh burai karte hai mai Rishta milata hoon aur woh todte hai mai acha sulooq karta hoon aur woh samajte nahi hai Aap صلى الله عليه وسلم  ne farmaya ki agar haqeeqat mey tu aisa hi karta hai toh tu unke moo par jalti raakh  dalta hai aur hamesha Allah ki taraf se tere sath ek farishta rahega jo tumko un par kamiyab rakhega jab tak tum is haalat par rahega.
Sahih Muslim , Vol 6, 6525

No comments:

Post a Comment