Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Thursday 10 November 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

                Hum Imaan wale hone k bawajood mushrik ban jate hai . Quran aur hadees ko inkar karne wale kafer aur shak karne wale munafiq. Yeh padh kar khud decide karle k hum musalman hai yah kafer yah munafiq
     Must Read
Taweez, dhaga, doree, kadey Pahenna shirk hai

Shirk do kisam ki hai:
1 - Shirk e Akbar
2- Shirk e Asghar

1- Shirk e Akbar :-
           Allah k sath kisi ko shareek karna, Allah k alawa dusron ko hajat puri karne wala aur musibatein durr karne wala maan kar ghair ullah se magna, ghair ullah k liye qurbani dena, ghair ullah k liye ibadat karna shirk e Akbar hai.   Woh shirk jo insaan ko islam se kharij kar deta hai aur uska murtakib bina tauba k mar jaye toh hamesha jahannam mey rahega.
Irshaad E Bari Tala

        Beshak Allah nahi bakshega ki Us k Sath shirk kiya jaye aur baksh dega jo is k alawa hoga jise Woh chahe. Aur jo koi Allah k sath shirk kare toh woh gumrahi mey bahut durr nikal gaya. 
Surah Nisa 116.

       Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم ne farmaya sab se bada gunah yeh hai ki tum  Allah k sath kisi ko shareek karo, halan ki Usne tujh ko paida kiya. 
Sahih Bukhari 4477,     Sahih Muslim 86

Irshaad E Bari Tala:
           Jo Bhi Allah k sath shirk kare Allah ne us par jannat ko haram karar diya hai aur uska thikhana aag hai aur in zalimo k liye koi madadgar nahi.
Surah Al Maida 72.

             Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo koi is haal mey mare ki woh Allah ke siwa kisi aur ko pukarta ho toh woh jahannam mey dakhil hoga. 
Sahih Bukhari 4497,    Sahih Muslim 92.

2 - Shirk e Asghar :-
             Woh amal jo Allah k siwa kisi cheezon par yaqeen kare aur bharosa kare ki falan falan cheez aur taweez  pahenne se shifa milegi, nazar nahi lagegi, musibatein durr hogi, karobar mey Barkat hogi aur b bahut kuch aise amal hai jis pe yaqeen karna shirk e Asghar kehte hai. Yeh shirk e Asghar shirk e Akbar tak le jata hai.
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya beshak Mujh ko tumhare bare mey sab se zyada shirk asghar k paye jane ka khauf hai. Sahaba ne pucha Ya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم shirk e Asghar kya hai ? Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya "Riya".
Musnad Ahmad Sahih.

Taweez ki haqeeqat.           Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jis ne taweez latkai us ne shirk kiya.
 
Musnad Ahmad 4/156 
Mustadrak Al Haakim 7513.

Kadey  ki haqeeqat:
          Hazrath Abdullah Bin Aakim Radi Allahu Tala Anhu farmate hai k Rasool Allah
صلى الله عليه وسلم ne ek aadmi ke haath mey pittal ka bana huwa Kadaa dekha toh daryaft kiya yeh kya hai ? Usne jawab diya yeh kamzori se bachne k liye hai. Toh Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya ise utar kar phek do isliye ke yeh kamzori hi mey Izafa karega aur is se pahne huwe teri wafat ho gayi toh tu kabhi kamyab nahi ho sakta.
Musnad Ahmad Sahih.

Dhaga aur doree.           Hazrath Huzaifah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai ek shakhs k haath par ek dhaga dekha jo woh Bukhar ki wajah se pahena tha toh use kaat kar phek diya aur quran ki yeh ayat tilawat farmayi
Zyadtar log Allah k upper Imaan lane k bawajood mushrik hai.
Surah Yousuf 106.
Ibne Abu Hatim, Kitab ul Tauheed Safa 38.

             Hazrath Abdullah Ibn Masood Radi Allahu Tala Anhu ne farmaya Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya taweez, jhar phoonk sab hi shirk hai. Yeh sun k Hazrath zainab Radi Allahu Tala Anha ne kaha Aap yeh kya keh rahe ho ? Allah ki qasam! Meri aankh ki beemari k waqt mai ek yahoodi k paas jati thi aur woh mujhe taweez deti thi aur us se meri beemari durr hojati thi. Tab Abdullah Radi Allahu Tala Anhu ne bataya woh toh Shaitaani amal tha. Haqeeqat shaitaan apne haath se tumhare aankh ko daba k rakhta tha jab yahoodi tumhe taweez pahenne ko dete tab shaitaan woh kaam chod deta. Beshak tum wohi bayan karo jo Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya.

Allahumma Rabbin Nas Azabal  Ba'asa Asfi Anta Shafi La Shafi Illa Anta Shafi La Yugadiru Sakma.
Tarjuma :- Ya Allah sare Alam ka Rab taqleef durr karne wala shifa ata farma sirf Tu hi Shifa dene wala hai Tere baghair koi shifa dene wala nahi hai aisi shifa ata kar beemari ek dam hi na rahe. 
Sunan Abu Dawood, vol 3, 485.

          Taweez, dhagey, doree pahen kar ibadat karne se ibadat qubool nahi hogi. Aur jo log yeh kehte hai taweez, dhagey, kadey, doree pahenne se faide hote hai un k liye Allah ne farmaya, Aur log Aap se sharab aur juvva (gambling) ke bare mey puchte hai Aap keh dijiye un dono mey bada gunah hai aur logon k liye bada faida bhi lekin unka gunah unke faide se badh kar hai. 
Surah Al Baqarah 219
Allah ki zaat pe bharosa rakhe, Allah k siwa kisi aur pe yaqeen na kare. Allah hum sab ko shirk e Akbar aur shirk e Asghar se mehfooz rakhe. 
Ameen.......

No comments:

Post a Comment