Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Wednesday 19 October 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Biddat gumrahi aur gumrahi jahannam ka tikhana

Hazrath Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Apne khutbe (sermon) mey Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ki Hamd aur Sana bayan farmate jaisa ki Uska haq hai, Phir Aap صلى الله عليه وسلم farmate jisko Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne hidayat di usko koi gumrah karne wala nahi aur jisko Allah Subhanahu Wa Ta’ala gumrah karde usko koi hidayat dene wala nahi,beshak sab se Sachchi kitaab Allah ki kitaab hai aur sab se behtar tareeqa Muhammad صلى الله عليه وسلم ka tareeqa hai, sab se bure cheez deen mey naye naye kaam paida karna hai har naya kaam biddat hai aur biddat gumrahi hai aur har gumrahi jahannam mey le jayegi.

Sunan Nasaii, Vol 2, 1581 -Sahih-


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Rishte Nate todne ka anjam

Hazrath Abdul Rehman Bin Aauf Radi Allahu Tala Anhu ne kaha Maine *Rasool Allah صلى الله عليه وسلم* ko farmate suna Allah Tabarak Wa Ta’ala ne farmaya Mai Allah hon, Mai Rahman hon Maine Raham  (yani rishte nate) ko paida kiya aur Us ka Naam Apne Naam se  (mushtaqh) kar k rakha hai, is liye jo use jodega Mai use Apni Rehmat se jode rahunga aur jo use kaatega (todega) Mai b use Apni Rehmat se kaat dunga.
Jamia Tirmidhi 1908

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


Sawaal  

             
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne kaunse sahabi ke liye ye farmaya ki wo meri ummat mein deen ke muaamlo mein sabse zyada sakht hain

Answer
🔵عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ أَرْحَمُ أُمَّتِي بِأُمَّتِي أَبُو بَكْرٍ وَأَشَدُّهُمْ فِي دِينِ اللَّهِ عُمَرُ
🔵Anas Bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meri Ummat mein sabse ziyada Raham Dil Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu hain. Aur unmein se ALLAH ke deen ke bare mein sabse zyada sakht Umar Radi Allahu Anhu hain

Sunan Ibn Majah, # 154-Sahih

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------



🔶Narrated Anas bin Malik may ALLAH be pleased with him that the Messenger of Allah Peace be upon him said: “The most merciful of my Ummah towards my Ummah is Abu Bakr radi allahu anhu; the one who adheres most strictly to the religion of Allah is Umar radi allahu anhu .
*Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 154-Sahih*

No comments:

Post a Comment