Hp laptop

http://www.flipkart.com/hp-15-apu-dual-core-e2-4-gb-1-tb-hdd-dos-15-bw098au-laptop/p/itmf3s3fkpgy7v7h?pid=COMEXCZNWPJCQ8PG&affid=mzakeer63

Sunday, 23 October 2016

Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Kaash lafz math kaho:
         Hazrath Abu Huraira Radi Allahu Tala Anhu se riwayat hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya taqatwar momeen Allah k nazdeek kamzoor momeen se behtar aur pasandeeda hai. Har bhalai mey aisi cheez ki hirs (more) karo jo tumhare liye nafah-mand ho aur Allah se madad talab karte raho aur Us se azizmand ho aur agar tum par koi musibat aa jaye toh yeh na kaho Kaash mai aisa aisa kar leta kyun ki Kaash ka lafz shaitaan ka darwaza khol leta hai.

Sahih Muslim 2273
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

 BISMILLAH

Hadith: Gaon (Dehaat, village)  mein Rehna Qabaro'n mein Rehney ki tarha hain
Syedna Abu Hurerah (R.A) farmate hain: Kabeera Gunaah saat (7) hain, in mein se pahela Allah ke saath shirk karna, Kisi Jaan ko (na haq) qatal karna, Paak daman aurat'oun par tohmat lagana aur Hijrat ke baadh bhi Dehaat'oun mein jaa kar rehna.
_[Musnad-e-Bazaar : 109 | Adab-ul-Mufarid lil'Bukhaari : 578]_

Alamaa Nasir Albaani (R.A) ne iss Riwayat ko Sahih Adab-ul-Mufarid (Hadees No. 450) mein Sahih kaha hai.
Syedna Subaan (R.A) Bayaan karte hain ke Rasool Allah (SAWS) ne mujhe farmaya : Aye Subaan! Dehaat'oun mein na raha karo. Beshak Dehaat'oun mein rehne wale Qabar'oun mein rehne wal'oun ki taraah hain.
Imam Bukhaari (R.A) ke ustaad Ahmed bin Aasim ne kaha: "kufur" se muraad Dehaat, Qur'aa, Gaon hai.  
_[Shoaib-ul-imaan lil'Baheqi : 7518, 7519 | Adab-ul-Mufarid lil'Bukhaari : 579]_

Alamaa Nasir Albaani (R.A) ne iss Hadees ko Hasan kaha hai, Dekhiye Sahih Adab-ul-Mufarid : 451.
------------------
Wazahat:  Zaheri taur par Gaon (Dehaat, Village) mein Kache raaste, Kache makaan, Khet khalyaan, Jagaah jagaah haryaali, Parindey, Jungle, Paharh, Naher, Abshaar wagheraah jaesi Allah ki Niyamat'ein mayasar aati hain.
Lekin aksar gaon mein log Allah se Ghafil rehte hain, Masjid'ein nahi hoti, agar masjid ho bhi toh weeraan hoti hai,
namaz parhne wale nahi milte. Bunyaadi masayel jaese wuzoo, ghusul, namaz waghera ke baare mein bhi aksar log nahi jaante.
Agar koi aalim gaon jaa kar unhein ilm ki baat'ein bataye toh Gaon wale uss aalim ko gaon mein nahi rehne dete. La'ilmi ki bina par wahan ke log'oun se taraah tarhaa ke jurm aur gunaah hote rehte hain. Allah ne jo niyamat'ein unhein aata ki hain us ka bhi shukr ada nahi karte. Shayed issi liye Gaon (Dehaat) ko Qabar se Tashbeeh di gayi hai. Gaon se hijrat karne ke baadh phir se gaon mein jaa kar bas jaane ko gunaah kaha gaya hai.
Haan lekin waqt-e-zaroorat Gaon mein jaa kar raha jaa sakta hai, lekin Allah ki yaad se ghafil ho kar hargiz bhi nahi.
Bilkul issi tarah Shaher runumaa hone wale gunaah'oun se bachna bhi zaroori hai.
Wa Allahu alam
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Four Daily Attacks from Satan:
Shaqeeq -Rahimahu Allah- said: Not a morning passes by except that Satan sits against me on Four posts: From in front of me, and from behind me, from my right, and from my left.
He [comes from in front of me] and says: Do not be [worried or] afraid, for Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful, so I read: “And most surely I am most Forgiving to him who repents and believes and does good, then continues to follow the right direction.” [Ta ha 20:82]
And from behind me, he frightens me about the loss of my offspring, so I read: “There is no moving creature on earth but its sustenance depends on Allah …” [Hud 11:6]
And from my right, he comes to me through women, so I read: “… and the end is (best) for the righteous.” [Al-A’raaf 7:128, Al-Qasas 28:83]
And from my left, he comes to me through desires, so I read: “And a barrier shall be placed between them and that which they desire … “[Saba’ 34:54]
Ighathat Al-Lahfaan (1/104) – Ibn Al-Qayim

1 comment:

  1. Islam is a religion of peace and harmony. The Quran and Hadees put a strong emphasis on the rights of the child. You can also read Islamic Center of Reseda. This article shares interesting facts about the Islam.

    ReplyDelete